Coke Studio Season 9 - Afreen Afreen - Rahat Fateh Ali Khan & Momina Mustehsan
Image by YouTube |
Aisa dekha nahi khoobsoorat koi
Jism jaise ajanta ki moorat koi
Jism jaise nigaahon pe jaadu koi
Jism naghmah koi
Jism khushboo koi
Jism jaise mehakti hui chaandani
Jism jaise machalti hui raagini
Jism jaise ki khilta hua ik chaman
Jism jaise ki sooraj ki pehli kiran
Jism tarsha hua dil-kash-o-dil-nasheen
Sandaleen sandaleen
Marmareen marmareen
Husn-e-jaanaan ki ta'reef mumkin nahi
Husn-e-jaanaan ki ta'reef mumkin nahi
Aafreen aafreen
Aafreen aafreen
Tu bhi dekhe agar to kahe hum-nasheen
Aafreen aafreen
Aafreen aafreen
Husn-e-jaanaan ki ta'reef mumkin nahi
Husn-e-jaanaan ki ta'reef mumkin nahi
Jaane kaise baandhe tu ne akhiyon ke dor
Mann mera khincha chala aaya teri or
Mere chehre ke subah zulfon ki shaam
Mera sab kuchh hai piya ab se tere naam
Nazron ne teri chhua
To hai yeh jaadu hua
Hone lagi hoon main haseen
Aafreen Aafreen Aafreen
Chehra ik phool ki tarh shaadaab hai
Chehra uss ka hai ya koyi mahtaab hai
Chehra jaise ghazal chehra jaan-e-ghazal
Chehra jaise kali chehra jaise kanwal
Chehra jaise tasawwur bhi tasweer bhi
Chehra ik khaab bhi chehra taa'beer bhi
Chehra koyi alf lailawi daastaan
Chehra ik pal yaqeen chehra ik pal gumaan
Chehra jaisa ke chehra kaheen bhi nahi
Maah-ru maah-ru mah-jabeen mah-jabeen
Husn-e-jaanaan ki ta'reef mumkin nahi
Husn-e-jaanaan ki ta'reef mumkin nahi
Aafreen aafreen
Aafreen aafreen
Tu bhi dekhe agar to kahe humnasheen
Aafreen aafreen
Aafreen aafreen
Husn-e-jaanaan ki ta'reef mumkin nahi
Aafreen aafreen
Aafreen aafreen
Aafreen
AAFREEN AFREEN SONG:
thanks bro
ReplyDelete